mohabbat ne kya kya na aanen nikalin
ki tar-e-qalam ne zabanen nikalin
hua hath us ka lahu se hinai
zi-bas us ne kushton ki jaanen nikalin
wo laDka tha jab tak ye saj-dhaj kahan thi
jawan hote hi us ne shanen nikalin
laga tir sa aa ke 'mani' ke dil par
jab in abruon ki kamanen nikalin
shubah ka guman tha na yaron ko jis ja
main wan lal o gauhar ki kanen nikalin
phisal hi gaya kilk-e-taswir-e-'mani'
kamar khinch kar junhi ranen nikalin
zahe kilk-e-sanat ki jis ne zamin par
bahaaren banain KHazanen nikalin
gala Dok mein garche tha 'mushafi' ka
par us par bhi do-chaar tanen nikalin

Ghazal
Mohabbat ne kya kya na aanen nikalin
Mushafi Ghulam Hamdani