اردو हिंदी
Mohabbat na-samajh hoti hai samjhana zaruri hai | Shaahi Shayari
mohabbat na-samajh hoti hai samjhana zaruri hai

Ghazal

Mohabbat na-samajh hoti hai samjhana zaruri hai

Waseem Barelvi

;

mohabbat na-samajh hoti hai samjhana zaruri hai
jo dil mein hai use aankhon se kahlana zaruri hai

usulon par jahan aanch aae Takrana zaruri hai
jo zinda ho to phir zinda nazar aana zaruri hai

nai umron ki KHud-muKHtariyon ko kaun samjhae
kahan se bach ke chalna hai kahan jaana zaruri hai

thake-haare parinde jab basere ke liye lauTen
saliqa-mand shaKHon ka lachak jaana zaruri hai

bahut bebak aankhon mein talluq Tik nahin pata
mohabbat mein kashish rakhne ko sharmana zaruri hai

saliqa hi nahin shayad use mahsus karne ka
jo kahta hai KHuda hai to nazar aana zaruri hai

mere honTon pe apni pyas rakh do aur phir socho
ki is ke baad bhi duniya mein kuchh pana zaruri hai