mohabbat mujh se kahti thi zara hoshyar daman se
junun aawaz deta tha wo uljhe KHar daman se
mere ashk-e-musalsal raegan hone nahin deta
bahut nazdik rahta hai KHayal-e-yar daman se
sambhal o rahraw-e-rah-e-talab manzil na kho jae
lipaTta hai ghubar-e-rah na-hamwar daman se
jabin-sai kahan ki kis ka sajda kuchh jo qabu ho
chhupa kar baiTh jaun aastan-e-yar daman se
hawa dete rahe danista diwana samajh kar wo
junun hota raha akasr mera bedar daman se
ubharti jati hai daman pe ashk-e-KHun ki rangini
numayan hota jata hai naya gulzar daman se
use tufan kahun ya jaan-e-sahil kya kahun 'shahid'
na ubhre jazb ho kar ashk-e-dariya-bar daman se

Ghazal
Mohabbat mujhse kahti thi zara hoshyar daman se
Shahid Bhopali