mohabbat mein ziyan-kari murad-e-dil na ban jae
ye la-hasil hi umr-e-ishq ka hasil na ban jae
mujhi par paD rahi hai sari mahfil mein nazar un ki
ye dildari hisab-e-dostan dar-dil na ban jae
karunga umr bhar tai rah-e-be-manzil mohabbat ki
agar wo aastan is rah ki manzil na ban jae
tere anwar se hai nabz-e-hasti mein taDap paida
kahin sara nizam-e-kaenat ek dil na ban jae
kahin ruswa na ho ab shan-e-istighna mohabbat ki
meri haalat tumhaare rahm ke qabil na ban jae
Ghazal
Mohabbat mein ziyan-kari murad-e-dil na ban jae
Tajvar Najibabadi