mohabbat mein wafaon ka yahi inam hai 'sufi'
liye dagh-e-judai hasrat-e-nakaam hai 'sufi'
agar ilzam hai koi to ye ilzam hai 'sufi'
ki tu apni sharafat ke liye badnam hai 'sufi'
hamin har daur mein the gardish-e-ayyam ke mare
magar hum se ilaj-e-gardish-e-ayyam hai 'sufi'
ba-faiz-e-rasm-e-mai-KHana badalte hi rahe saqi
jo bin mange pilae saqi-e-gulfam hai 'sufi'
kashakash-ha-e-hasti ne jise diwangi baKHshi
wo diwana harif-e-talKHi-e-ayyam hai 'sufi'
tere giton ki jhankaron se duniya gunj to uTThi
magar kashi ki nagri mein baDa gumnam hai 'sufi'

Ghazal
Mohabbat mein wafaon ka yahi inam hai sufi
Saghir Ahmad Sufi