mohabbat mein wafa walon ko kab iza satati hai
ye wo hain jin ko suli par bhi chaDh kar nind aati hai
junun-e-ishq ki manzil se waqif hi nahin koi
hamari chaak-damani pe duniya muskuraati hai
masafat rah-e-ulfat ki nahin aasan dil-e-nadan
mohabbat har qadam par sainkDon fitne uThati hai
KHuda malum kab parda uThega did kab hogi
nigahon se jo ojhal hai usi ki yaad aati hai
bahata hun kabhi aansu kabhi phirta hun main wapas
mohabbat ki KHalish aisa shab-e-gham mein satati hai
miTe par bhi wahi hai rahnumai ka asar is mein
musafir ko hamari KHak bhi satta batati hai
zamane ko adam aabaad mein ek roz aana hai
suno shahr-e-KHamoshan se yahi aawaz aati hai
uTha parda to ab dekha nahin jata qayamat hai
meri nakaamiyon par wo tajalli muskuraati hai
Ghazal
Mohabbat mein wafa walon ko kab iza satati hai
Rifat Sethi