اردو हिंदी
Mohabbat mein Thani aksar yahan tak | Shaahi Shayari
mohabbat mein Thani aksar yahan tak

Ghazal

Mohabbat mein Thani aksar yahan tak

Mubarak Azimabadi

;

mohabbat mein Thani aksar yahan tak
ki pahunche marke tir o kaman tak

chale nawak khinchi zalim kaman tak
kahan tak imtihan aaKHir kahan tak

chale jate hain aawaz-e-jaras par
pahunch jaenge bichhDe karwan tak

hawa-e-shauq ke jhonke salamat
rahoge tum pas-e-parda kahan tak

na wo ayyar mujh se puchhta hai
na dil ki baat aati hai zaban tak

usi sar ko sar-e-shorida kahiye
jo pahunche us ke sang-e-astan tak

niyaz o naz ke charche rahenge
hamari aur tumhaari dastan tak

'mubarak' ko koi din aur sun lo
bayan ka lutf hai us KHush-bayan tak