mohabbat mein tapake-zahiri se kuchh nahin hota
jahan dil ko lagi ho dil-lagi se kuchh nahin hota
ye hai jabr-e-mashiyat ya meri taqdir hai yarab
sahaara jis ka leta hun usi se kuchh nahin hota
koi meri KHata hai ya teri sanat ki KHami hai
farishte kah rahe hain aadmi se kuchh nahin hota
tere ahkaam ki duniya mere aamal ka mahshar
yahan meri wahan teri KHushi se kuchh nahin hota
raza teri likha taqdir ka meri ziyan-koshi
kisi ki dosti ya dushmani se kuchh nahin hota
Ghazal
Mohabbat mein tapake-zahiri se kuchh nahin hota
Hari Chand Akhtar

