اردو हिंदी
Mohabbat mein sahar ai dil barae nam aati hai | Shaahi Shayari
mohabbat mein sahar ai dil barae nam aati hai

Ghazal

Mohabbat mein sahar ai dil barae nam aati hai

Mushir Jhanjhanvi

;

mohabbat mein sahar ai dil barae nam aati hai
ye wo manzil hai jis manzil mein aksar sham aati hai

safina jis jagah Duba tha mera bahr-e-ulfat mein
wahan har mauj ab tak larza-bar-andam aati hai

na jaane kyun dil-e-gham aashna ko dekh leta hun
jahan kanon mein aawaz-e-shikast-e-jam aati hai

dil-e-nadan yahi rangin adaen luT leti hain
shafaq ki surKHiyon hi mein to chhup kar sham aati hai

mohabbat ne har ek se be-talluq kar diya mujh ko
tumhaari yaad bhi ab to barae nam aati hai

na jaane kaun si mahfil mein ab tum jalwa-farma ho
nazar rah rah ke uThti hai magar nakaam aati hai

gham-e-dauran se mil jati hai thoDi der ko fursat
tasawwur mein jahan ek jannat-e-benam aati hai

badal sakta hun us ka ruKH magar ye soch kar chup hun
tumhaara nam le kar gardish-e-ayyam aati hai

laraz uThte hain kaunain ai 'mushir' anjam-e-ulfat par
jabin-e-shauq us ke dar se jab nakaam aati hai