اردو हिंदी
Mohabbat mein nigah-e-sharmagin jine nahin deti | Shaahi Shayari
mohabbat mein nigah-e-sharmagin jine nahin deti

Ghazal

Mohabbat mein nigah-e-sharmagin jine nahin deti

Nazish Sikandarpuri

;

mohabbat mein nigah-e-sharmagin jine nahin deti
falak badnam hai lekin zamin jine nahin deti

hayat-o-maut ki ye kashmakash bhi ek tamasha hai
ki han marne nahin deti nahin jine nahin deti

wo kahte hain mere naqsh-e-qadam ki kya KHata us mein
jo tujh ko teri aawara jabin jine nahin deti

rahun gulshan mein ya sahra mein diwana hi kahti hai
ye duniya kaisi duniya hai kahin jine nahin deti

junun kahta hai koi tar bhi baqi na rah jae
KHirad ko fikr-e-jeb-o-astin jine nahin deti

mubarak nala-e-mazlum wo zalim pukar uTTha
are ab teri aah-e-atishin jine nahin deti

amal ki quwwaten hain tabe-e-hosh-o-KHirad 'nazish'
mujhe meri nigah-e-dur-bin mein jine nahin deti