mohabbat mein na jaane kyun hamein fursat ziyaada hai
hamara kaam thoDa hai magar mohlat ziyaada hai
hamein is aalam-e-hijran mein bhi ruk ruk ke chalna hai
unhen jaane diya jae jinhen ujlat ziyaada hai
ye dil bahar dhaDakta hai ye aankh andar ko khulti hai
hum aise marhale mein hain jahan zahmat ziyaada hai
so hum fariyaadiyon ki ek apni saf alag se ho
hamara masala ye hai hamein hairat ziyaada hai
samajh pae nahin dekhe baghair us ka nazar aana
mashaqqat kam se kam ki thi magar ujrat ziyaada hai
tamasha-gah chaaron samt se pur-shor hai yani
kahin jalwat ziyaada hai kahin KHalwat ziyaada hai
tujhe halqa-ba-halqa khinchte phirte hain duniya mein
so ai zanjir-e-pa yun bhi teri shohrat ziyaada hai
ye sari aamad-o-raft ek jaisi to nahin 'shahin'
ki duniya mein safar kam kam hai aur hijrat ziyaada hai
Ghazal
Mohabbat mein na jaane kyun hamein fursat ziyaada hai
Shaheen Abbas

