mohabbat mein koi tanha safar achchha nahin lagta
jo aaun lauT kar to apna ghar achchha nahin lagta
usulan pyar aur nafrat hamesha sath rahte hain
teri galiyon se logon ka guzar achchha nahin lagta
unhen to qatl karne par sawab-e-KHuld milta hai
unhin ko pyar ka ek bhi shajar achchha nahin lagta
zamane-bhar ke tum ko naz-o-naKHre kyun uThane hain
KHuda se ho na wabasta to Dar achchha nahin lagta
tumhaare kan ke jhumar mein ho to dil uchhal jae
tumhaari aankh mein jaanan guhar achchha nahin lagta

Ghazal
Mohabbat mein koi tanha safar achchha nahin lagta
Sarwar nepali