mohabbat mein inkar kitna hasin hai 
ye andaz-e-iqrar kitna hasin hai 
kisi ki mohabbat mein nam ho gaya hai 
tera aaj ruKHsar kitna hasin hai 
ye mana ki sapna hai sansar lekin 
ye sapnon ka sansar kitna hasin hai 
diye hain jo tum ne nadamat ke aansu 
tumhaara gunahgar kitna hasin hai 
gulon se nahin shaKH ke dil se puchho 
ki ye bad-numa KHar kitna hasin hai 
zara aaina dekh o husn wale 
bata de mera pyar kitna hasin hai 
hua tha jo 'hairat' juda sab se pahle 
gireban ka wo tar kitna hasin hai
        Ghazal
Mohabbat mein inkar kitna hasin hai
Hairat Gondvi

