mohabbat mein aaram sab chahte hain
magar hazrat-e-'dagh' kab chahte hain
KHata kya hai un ki jo us but ko chaha
KHuda chahta hai to sab chahte hain
wahi un ka matlub o mahbub Thahra
baja hai jo us ki talab chahte hain
magar aalam-e-yas mein tang aa kar
ye saman-e-afat ajab chahte hain
ajal ki dua har ghaDi mangte hain
gham-o-dard-o-ranj-o-tab chahte hain
na tafrih-e-asaish-e-dil ki KHwahish
na saman-e-aish-o-tarab chahte hain
qayamat bapa ho nuzul-e-bala ho
yahi aaj-kal roz o shab chahte hain
na mashuq-e-farKHar se un ko matlab
na ye jam-e-bintul-inab chahte hain
na jannat ki hasrat na huron ki parwa
na koi KHushi ka sabab chahte hain
nirali tamanna hai ahl-e-karam se
sitam chahte hain ghazab chahte hain
na ho koi aagah raaz-e-nihan se
KHamoshi ko ye mohr-e-lab chahte hain
KHuda un ki chahat se mahfuz rakkhe
ye aazar bhi muntaKHab chahte hain
gham-e-ishq mein 'dagh' majbur ho kar
kabhi jo na chaha wo ab chahte hain
Ghazal
Mohabbat mein aaram sab chahte hain
Dagh Dehlvi