mohabbat kya mohabbat ka sila kya
gham-e-barbaadi-e-jins-e-wafa kya
dil-e-be-muddaa ka muddaa kya
hamara haal hum se puchhna kya
hamein duniya mein apne gham se matlab
zamane ki KHushi se wasta kya
sitam-ha-e-farawan chahta hun
karam ki aarzu kya iltija kya
hum us ke aur us ka gham hamara
is andaz-e-karam ka puchhna kya
raha dil ko na ab zauq-e-sitam kyun
wo hain aamada-e-tark-e-jafa kya
tere gham ke sahaare ji rahe hain
hamari aarzu kya muddaa kya
bahaaron par KHizan sarf-e-asar hai
maal-e-ghunch-o-gul dekhna kya
talluq aur tere gham se talluq
uruj-e-baKHt-e-'aKHtar' puchhna kya
Ghazal
Mohabbat kya mohabbat ka sila kya
Aleem Akhtar