mohabbat ki alamat ho gai hai
ye kis be-kas ki rehlat ho gai hai
koi maqsad nahin hai zindagi ka
hamein jine ki aadat ho gai hai
abhi tak kyun ye patte TuTte hain
hawa to kab ki ruKHsat ho gai hai
koi taqat daba sakti nahin ab
ki zehnon mein baghawat ho gai hai
jise main qatl kar ke KHush hua tha
har aaina wo surat ho gai hai
gareban mein abas kyun jhankte ho
tumhein kaisi ye wahshat ho gai hai
ibaadat ek zarurat se thi pahle
zarurat ab ibaadat ho gai hai
nahin hai dhyan apni zindagi ka
ki ab bachchon se ulfat ho gai hai
hamari zindagi hi kya hai 'KHalid'
azizon ki amanat ho gai hai

Ghazal
Mohabbat ki alamat ho gai hai
Khalid Fatehpuri