mohabbat ke hawale DhunDhta hai
andheron mein ujale DhunDhta hai
KHuda jaane wo kaisa bawla hai
haram mein mai pyale DhunDhta hai
musafir do-qadam chal kar pareshan
ki apne pa ke chhaale DhunDhta hai
samundar mein talashen to bahut hain
KHazane wo nirale DhunDhta hai
rahe ta-bud qaem raazdari
KHuda kuchh aise tale DhunDhta hai

Ghazal
Mohabbat ke hawale DhunDhta hai
Faisal Fehmi