اردو हिंदी
Mohabbat kar ke sharminda nahin hun | Shaahi Shayari
mohabbat kar ke sharminda nahin hun

Ghazal

Mohabbat kar ke sharminda nahin hun

Asghar Mehdi Hosh

;

mohabbat kar ke sharminda nahin hun
main is duniya ka bashinda nahin hun

hisab-e-dil-baran mujh se na mango
main ek shair hun karinda nahin hun

main ek aazad-o-KHud-raushan sitara
kisi suraj se tabinda nahin hun

tilism-e-gham se patthar ho gaya hun
main zinda hun magar zinda nahin hun

ye mera ahd mujh mein ji raha hai
main bas apna numainda nahin hun