mohabbat ka ye ruKH dekha nahin tha
wo yun badlega ye socha nahin tha
ajab hai sah ke zaKHm-e-be-wafai
ye dil kahta hai wo aisa nahin tha
sabab koi to hai un nafraton ka
main jhuTa tha ki wo sachcha nahin tha
na jaane kyun mere hisse mein aaya
wo dukh qismat mein jo likkha nahin tha
bahut tanhaiyan thin is se pahle
magar itna bhi main tanha nahin tha
chalo kuchh to ghuTan kam ho gai hai
bahut din ho gae roya nahin tha
kinare par khaDa wo kah raha hai
samundar is qadar gahra nahin tha
sabhi kuchh hai 'nadim' ab pas mere
bas ek wo shaKHs jo mera nahin tha
Ghazal
Mohabbat ka ye ruKH dekha nahin tha
Farhat Nadeem Humayun