mohabbat ka sila-kar-e-mohabbat se nahin milta
jo afsane se milta hai haqiqat se nahin milta
main us ko us ke bahar dekhta hun saKHt mushkil mein
koi bhi aks us ka asl surat se nahin milta
mulaqat us se ab to baala baala bhi nahin mumkin
chhaton ka silsila ek us ki hi chhat se nahin milta
kahan se laen ishq itna ki us tak bar paen hum
wo KHud bairun-e-sahra ahl-e-wahshat se nahin milta
ki ab dar-pesh rahte hain kai apne bhi kaam us ko
wo pahle ki tarah ab apne 'farhat' se nahin milta
Ghazal
Mohabbat ka sila-kar-e-mohabbat se nahin milta
Farhat Ehsas