mohabbat ka fasana hum se dohraya nahin jata
bas ab hum se fareb-e-arzu khaya nahin jata
yahan tak to mujhe dast-e-karam par naz hai un ke
agar ab hath phailaun to phailaya nahin jata
tamasha dekhne wale tamasha ban ke rah jaen
ba-qadr-e-dard tum se dil ko taDpaya nahin jata
ye aalam hai qafas ka dar khula hai sehn-e-gulshan mein
magar sayyaad ko ab chhoD kar jaya nahin jata
mujhe dekho ki ghairon ko bhi sine se lagata hun
magar tum se to apnon ko bhi apnaya nahin jata
jo aankhen dekh leti hain KHizan ka daur phir un se
bahaaron ka fareb-e-rang-o-bu khaya nahin jata
main un ko be-ruKHi ka kis liye ilzam dun 'jafar'
andhere mein to apna do-qadam saya nahin jata
Ghazal
Mohabbat ka fasana humse dohraya nahin jata
Jafar Abbas Safvi