اردو हिंदी
Mohabbat ka diya aise bujha tha | Shaahi Shayari
mohabbat ka diya aise bujha tha

Ghazal

Mohabbat ka diya aise bujha tha

Farah iqbal

;

mohabbat ka diya aise bujha tha
hawa ke dosh par rakkha hua tha

sitara TuT kar jab bhi gira tha
ajab dhaDka sa dil ko lag gaya tha

ajab wahshat thi tere aaine mein
jahan har aks hi TuTa hua tha

lipaT kar chand se rone laga tha
sitara TuT kar Dar sa gaya tha

use thi chand taron ki talab aur
hamare pas to bas ek diya tha

hazaron rang the ek aarzu ke
magar mujh ko to us ne KHud chuna tha

kisi ahd-e-wafa ka hath thame
koi ek moD par rota raha tha

kisi ko dosh kya den Dubne ka
bhanwar jo panw se lipTa hua tha

ajab be-faiz thi ye bhi mohabbat
bahaaron mein KHizan ka rup sa tha

udhar se dhup ko aane na dunga
tujhe kuchh yaad hai tu ne kaha tha

wahi tishna-labi aankhon mein sahra
wahi mizhgan pe ek aansu dhara tha