mohabbat jada hai manzil nahin hai
ye mushkil aaKHiri mushkil nahin hai
dil-e-rah-raw mein hain kuchh aur KHatre
KHayal-e-duri-e-manzil nahin hai
KHirad baatil KHirad par naz baatil
magar ye to junun baatil nahin hai
ye dil be-mehr bhi hai bewafa bhi
nahin ye dil to mera dil nahin hai
Daraata hai mujhe yun KHanda-e-barq
mujhe andesha-e-hasil nahin hai
main sab kuchh jaanta hun apna anjam
magar izhaar ke qabil nahin hai
miyan-e-qar-e-dariya hai safina
nahin ai naKHuda sahil nahin hai
yahan mehr-o-wafa nadaniyan hain
ye duniya ishq ke qabil nahin hai
ye hai marhum ummidon ka madfan
kabhi dil tha magar ab dil nahin hai

Ghazal
Mohabbat jada hai manzil nahin hai
Hameed Naseem