mohabbat ibtida mein kuchh nahin malum hoti hai
magar phir dushman-e-iman-o-din malum hoti hai
wajud-e-zat aks-e-alam-e-hasti se hai sabit
teri surat hi surat-afrin malum hoti hai
main milna chahta hun tujh se aise tur par ja kar
jahan teri tajalli bhi nahin malum hoti hai
gae hum dair se kabe magar ye kah ke phir aae
ki teri shakl kuchh achchhi wahin malum hoti hai
teri barq-e-tajalli ke chalan hum se koi puchhe
chamakti hai kahin lekin kahin malum hoti hai
tera eajaz-e-qudrat hai ki hasti ki numaish mein
zamane-bhar ko shakl apni hasin malum hoti hai
dil-e-'muztar' KHuda ke waste is se kinara kar
mohabbat dushman-e-jaan-e-hazin malum hoti hai

Ghazal
Mohabbat ibtida mein kuchh nahin malum hoti hai
Muztar Khairabadi