mohabbat haT rahi hai darmiyan se
zamin Takra na jae aasman se
wo manzil saKHt hai har imtihan se
mohabbat ruKH badalti jahan se
hazaron mah-o-anjum hain tah-e-KHak
zamin kuchh kam nahin hai aasman se
munawwar hain abhi tak wo maqamat
main tere sath guzra hun jahan se
zamin ki pastiyon mein kho gae hain
zamin Takrane wale aasman se
meri aankhon mein aansu to bahut hain
magar daman tera laun kahan se
zamin ki KHak tak de di zamin ko
main daman jhaD ke uTTha jahan se
maqam-e-ashiyan ki justuju mein
guzar ja bijliyon ke darmiyan se
musalsal imtihan hai zindagani
kahin ghabra na jaana imtihan se
banana hai mujhe KHud apni manzil
alag hun naqsh-pa-e-karwan se
wahi duniya ulaT dete hain 'shaarib'
jo aksar kuchh nahin kahte zaban se

Ghazal
Mohabbat haT rahi hai darmiyan se
Sharib Lakhnavi