mohabbat hasil-e-duniya-o-din hai
mohabbat ruh-e-arbab-e-yaqin hai
nazar mein jhum uThti hain bahaaren
kisi ki yaad bhi kitni hasin hai
tasadduq ho rahe hain mah-o-anjum
nigahon mein wahi zohra-jabin hai
kahan mumkin hai us ko bhul jaana
ki har ek naqsh us ka dil-nashin hai
jahan chahun wahin mahfil saja lun
meri har ek nazar husn-afrin hai
wahi wo hain jidhar bhi dekhta hun
bas ab un ke siwa koi nahin hai
zamana ho gaya us ek nazar ko
KHalish si aaj tak dil ke qarin hai
hua hun muddaton se KHud-faramosh
magar ye dil tujhe bhula nahin hai
sahaara mil gaya jine ka 'muztar'
mujhe un ki mohabbat ka yaqin hai
Ghazal
Mohabbat hasil-e-duniya-o-din hai
Ram Krishn Muztar

