mohabbat ek aisa rasta hai
chalo jitna ye itna rasta hai
hawa hai dhund hai aur tez barish
pahaDi hai zara sa rasta hai
kabhi ukta gaya main KHud hi KHud se
kabhi apna hi dekha rasta hai
zamane ho gae hain chalte chalte
kahan jata ye dil ka rasta hai
kahin sansen chaDha deta hai meri
kahin aahista chalta rasta hai
wahi oDhi hui hai dhul ab tak
wahi pairon se lipTa rasta hai
ye kaise moD par main aa gaya hun
ki chalta hun to chalta rasta hai
mohabbat hausla hai apna apna
kahin manzil kisi ka rasta hai
sabhi ki apni apni manzilen 'shaz'
sabhi ka apna apna rasta hai
Ghazal
Mohabbat ek aisa rasta hai
Zakariya Shaz