mohabbat dil pe karti hai asar aahista aahista
mariz-e-gham ko hoti hai KHabar aahista aahista
KHuda ab jaane kya anjam ho is sajda-rezi ka
ghisa jata hai tera sang-e-dar aahista aahista
junun-e-ishq le aaya hai aaKHir dasht-e-ghurbat mein
muqaddar ban gai gard-e-safar aahista aahista
kiya hai jumbish-e-lab ne mujhe behaal kuchh aisa
main yun to sans leta hun magar aahista aahista
ubhar aaega apne wasl ka KHurshid bhi ek din
magar hogi shab-e-gham muKHtasar aahista aahista
bachaun kis tarah kachche makan ko tez barish mein
gire jate hain sab diwar-o-dar aahista aahista
nahin marta yakayak be-irada nazninon par
chhiDakta hun main jaan un par magar aahista aahista
kisi ke dur rahne se mohabbat kam nahin hoti
magar barbaad hota hai jigar aahista aahista
ghazab hai bazm mein tera ye kaif-angez nazzara
hua jata hun KHud se be-KHabar aahista aahista
mujhe karne laga hai KHanaman-barbaad gham tera
watan mein ho gaya hun dar-ba-dar aahista aahista
umanD aai hai kyun tarik shab atraf-e-alam par
kahan gum ho gae shams-o-qamar aahista aahista
'muzaffar' raaz poshida rahega kaise mahfil mein
lahu Tapka rahi hai chashm-e-tar aahista aahista

Ghazal
Mohabbat dil pe karti hai asar aahista aahista
Muzaffar Ahmad Muzaffar