اردو हिंदी
Mohabbat chahti hai jis ko afsana bana dena | Shaahi Shayari
mohabbat chahti hai jis ko afsana bana dena

Ghazal

Mohabbat chahti hai jis ko afsana bana dena

Mohammad Aazam

;

mohabbat chahti hai jis ko afsana bana dena
use kafi nahin hota hai diwana bana dena

par-e-gul se juda hum ne na dekha barg-e-bulbul ko
nazar mein aa gaya surat ko be-mana bana dena

hua tha dil jo KHali do ghaDi ko hum na samjhe the
ki ho jaega ye kabe ko but-KHana bana dena

kisi ne bhi na dekha iztirab-e-tishnagi mera
agar dekha to bas shishe ko paimana bana dena

nahin ab chahta ye wahshi-e-be-KHanuman tera
ki aana aur KHak-e-pa se kashana bana dena

kisi ek tegh-e-jauhar-dar ko fazil jila de kar
use aasan hai basti ko virana bana dena

hum apni jaan se dete tumhein sadqa mohabbat ka
magar tum ne to chaha is ko jurmana bana dena