mohabbat chahte ho kyun wafa kyun mangte ho
tum un bimar aankhon se dawa kyun mangte ho
musafir ho to niklo panw mein aankhen laga kar
kisi bhi ham-safar se rasta kyun mangte ho
unhen to KHud hi apni jaan ke lale paDe hain
bechaare shahr walon se hawa kyun mangte ho
abhi kuchh tha abhi kuchh hai badan aab-e-rawan sa
badan se aaj-kal ka waqia kyun mangte ho
hudud-e-KHak se bahar nahin aa paega husn
wo jitna hai use us se siwa kyun mangte ho
hujum-e-shahr mein se tir se nikle chale jao
hujum-e-shahr se us ki raza kyun mangte ho
mohabbat aap hi apna sila hai 'farhat-ehsas'
mohabbat kar rahe ho to sila kyun mangte ho
Ghazal
Mohabbat chahte ho kyun wafa kyun mangte ho
Farhat Ehsas