mohabbat chahiye baham hamein bhi ho tumhein bhi ho
KHushi ho is mein ya ho gham hamein bhi ho tumhein bhi ho
ghanimat tum ise samjho ki is KHum-KHane mein yaro
nasib ik-dam dil-e-KHurram hamein bhi ho tumhein bhi ho
dilao hazrat-e-dil tum na yaad-e-KHat-e-sabz us ka
kahin aisa na ho ye sam hamein bhi ho tumhein bhi ho
hamesha chahta hai dil ki mil kar kije mai-noshi
mayassar jam-e-mai-e-jam-jam hamein bhi ho tumhein bhi ho
hum apna ishq chamkaen tum apna husn chamkao
ki hairan dekh kar aalam hamein bhi ho tumhein bhi ho
rahe hirs-o-hawa daim azizo sath jab apne
na kyunkar fikr-e-besh-o-kam hamein bhi ho tumhein bhi ho
'zafar' se kahta hai majnun kahin dard-e-dil mahzun
jo gham se fursat ab ek dam hamein bhi ho tumhein bhi ho
Ghazal
Mohabbat chahiye baham hamein bhi ho tumhein bhi ho
Bahadur Shah Zafar