mohabbat be-niyaz-e-ma-siwa hai
baDe jhagDon pe qabu pa liya hai
tasawwur fil-haqiqat moajiza hai
kisi ka dil pe saya paD raha hai
KHuda hi se na kyun mangun panahen
ki zehn-e-na-KHuda mein bhi KHuda hai
muhafiz bhi mera majbur nikla
gina karta hun main wo dekhta hai
samajhta hai tujhe apni tajalli
tera partaw bhi kitna KHud-numa hai
KHuda-e-ishq hai wo husn-e-kafir
magar ab tak na samjha ishq kya hai

Ghazal
Mohabbat be-niyaz-e-ma-siwa hai
Makhmoor Jalandhari