mohabbat banTne nikle the patthar le ke ghar lauTe 
bahut se dasht chhane aur ho ke dar-ba-dar lauTe 
hamari soch se dil tak baDi lambi masafat hai 
chalo ab dekhte hain ki kahan se ye nazar lauTe 
jahan mein masnaden ab be-hunar aabaad karte hain 
jabhi to le ke aankhen nam sabhi ahl-e-hunar lauTe 
liye hum kanch ka dil bar-sar-e-bazar baiThe hain 
the patthar jinki jholi KHush wahi to bazigar lauTe 
wo jhuTe log jo mil kar hamin ko jhuT kar denge 
unhin ko aazma kar hum bhi apni rahguzar lauTe 
qarar-e-jaan banane ko bahane aur kya kam the 
bhala 'mumtaz' le ke kaun yun zaKHmi jigar lauTe
        Ghazal
Mohabbat banTne nikle the patthar le ke ghar lauTe
Mumtaz Malik

