اردو हिंदी
Mohabbat bais-e-na-mehrbani hoti jati hai | Shaahi Shayari
mohabbat bais-e-na-mehrbani hoti jati hai

Ghazal

Mohabbat bais-e-na-mehrbani hoti jati hai

Muztar Khairabadi

;

mohabbat bais-e-na-mehrbani hoti jati hai
hamari sari mehnat dhul-dhani hoti jati hai

hikayat hun jo raaton ko hamesha hoti rahti hai
shikayat hun jo aapas mein zabani hoti jati hai

tera gham aaj tak taza hai zalim warna duniya mein
nai shai din guzarne se purani hoti jati hai

tumhaari yaad mein ahl-e-jahan mar mar ke jite hain
qaza logon ke haq mein zindagani hoti jati hai

baDa ilzam Thahra hai talluq rishta-dari ka
qarabat ki mohabbat bad-gumani hoti jati hai

yahi tambih milne par unhen majbur karti hai
yahi takid goya zid ki bani hoti jati hai

mere gham mein wo majburi se un haalon ko pahunche hain
ki ab un ki nazakat na-tawani hoti jati hai

tere kuche mein ab gardish ki surat paDti jati hai
zamin ki chaal daur-e-asmani hoti jati hai

mere pahlu mein dil kab tha lahu ki bund thi 'muztar'
so ab wo bund bhi qismat se pani hoti jati hai