mohabbat bais-e-diwangi hai aur bas main hun
ki ab paiham inayat aap ki hai aur bas main hun
sukun hasil hai din mein aur na shab ko chain milta hai
ki ab to kashmakash mein zindagi hai aur bas main hun
na jaane majra kya hai nazar kuchh bhi nahin aata
ki ab hadd-e-nazar tak tirgi hai aur bas main hun
nahin hai aaj mujh ko KHadsha-e-zulmat zamane mein
ruKH-e-taban ki un ke raushni hai aur bas main hun
qadam kya Dagmagaenge rah-e-ulfat mein ai saqi
bahut hi muKHtasar si be-KHudi hai aur bas main hun
tere naqsh-e-qadam par sar jhukana kaam hai apna
KHuda shahid ye meri bandagi hai aur bas main hun
unhen rudad-e-gham apni sunaun kis tarah 'qaisar'
wahi un ki ada-e-barhami hai aur bas main hun
Ghazal
Mohabbat bais-e-diwangi hai aur bas main hun
Qaisar Nizami