mohabbat aap apni tarjuman hai
yahi KHud chashm o dil lafz o bayan hai
nigahon mein bahaar-e-jawedan hai
jahan main hun wahin ab aashiyan hai
mohabbat donon jaanib mehrban hai
ki hum us se wo hum se bad-guman hai
wo kab se muztarib hain ai gham-e-ishq
KHuda jaane teri ghairat kahan hai
hamari rifaton ka puchhna kya
jahan hum panw rakh den aasman hai
koi aawaz hi de gum-shuda dil
kahan hai o mere yusuf kahan hai
agar tu hai to ai jaan-e-do-alam
yahan har shai jawan jawedan hai
maze soz-e-darun ke mil rahe hain
ba-hamd-o-lillah ki dil aatish-ba-jaan hai
tamasha didani hai dekh jao
zaban-e-shauq o gulbang fughan hai
mubarakbaad ai jazb-e-mohabbat
unhen apne par ab mera guman hai
kisi ko ek nazar hi dekh to len
ab itni bhi hamein jurat kahan hai
tere naqsh-e-qadam ka zarra zarra
ibaadat-gah-e-jaan-e-ashiqan hai
ilahi KHair karna der se phir
bahut muztar nigah-e-raazdan hai
phunka jata hai dil jis soz-e-gham se
jahannam mein ye chingari kahan hai
jo paDh sakta hai to paDh ai gham-e-dil
ki in nazron mein aaj ek dastan hai
Ghazal
Mohabbat aap apni tarjuman hai
Jigar Moradabadi