mohabbat aag ban jati hai sina mein nihan ho kar
tamannaen jala deti hain dil chingariyan ho kar
idhar bhi tum udhar bhi tum yahan bhi tum wahan bhi tum
ye tum ne kya qayamat ki nigahon se nihan ho kar
samajhte hain jise manzil fareb-e-rah-e-manzil hai
magar chup hun ye majburi sharik-e-karwan ho kar
unhen bhi dastan-e-hijr chupke se suna hi di
sukun-e-sham-e-gham ban kar sitaron ki zaban ho kar
sahar honi se pahle hi gulabi ho gae aansu
shafaq phuli hamari dastan-e-KHun-chakan ho kar
unhen nind aa rahi hai ya meri taqdir soti hai
thapakte hain kisi nale shab-e-gham loriyan ho kar
nuqush-e-arzu miT miT ke ubhre KHun hone ko
bisat-e-kahkashan ban kar shafaq ki surKHiyan ho kar
charagh-e-arzu yun jhilmila kar bujh gaya aaKHir
dam-e-aKHir kisi ki yaad aai hichkiyan ho kar
KHususiyyat ka 'talib' hun adawat ho mohabbat ho
mujhi ko bas satae jaiye na-mehrban ho kar

Ghazal
Mohabbat aag ban jati hai sina mein nihan ho kar
Talib Baghpati