modern hiren to zar-daron ke han rah jaengi
aur ranjhon ke labon par murliyan rah jaengi
ho sake to tum bacha lo ab bhi desi nasl ko
warna pichhe sirf shewar murghiyan rah jaengi
sunflower ho gaya hai ibn-e-adam ki ghiza
ab chaman-zaron mein goya sabziyan rah jaengi
chhoTi qaumon par agar weto ka laTh chalta raha
sirf uno mein ghunDa-gardiyan rah jaengi
nek-sirat shauharon ko dekh kar huron ke bich
KHuld ke andar taDap kar biwiyan rah jaengi
zulmaten hongi tawanai ke is bohran mein
sirf aankhon mein chamakti bijliyan rah jaengi
murgh par fauran jhapaT dawat mein warna baad mein
shorba aur gardanon ki haDDiyan rah jaengi
ghar ke gul-danon mein 'shahid' phul honge kaghzi
aur pardon par printed titliyan rah jaengi
Ghazal
Modern hiren to zar-daron ke han rah jaengi
Sarfaraz Shahid