اردو हिंदी
MoD tha kaisa tujhe tha khone wala main | Shaahi Shayari
moD tha kaisa tujhe tha khone wala main

Ghazal

MoD tha kaisa tujhe tha khone wala main

Rajinder Manchanda Bani

;

moD tha kaisa tujhe tha khone wala main
ro hi paDa hun kabhi na rone wala main

kya jhonka tha chamak gaya tan man sara
pata na tha phir rakh tha hone wala main

lahr thi kaisi mujhe bhanwar mein le aai
nadi kinare hath bhigone wala main

rang kahan tha phul ki patti patti mein
kiran kiran si dhup pirone wala main

kya din bita sab kuchh aankh mein phirta hai
jag raha hun maze mein sone wala main

shahr-e-KHizan hai zardi oDhe khaDe hain peD
manzar manzar nazar chubhone wala main

jo kuchh hai is par wahi us par bhi hai
naw ab apni aap Dubone wala main