اردو हिंदी
Moajaze ka dar khula aur ek asa raushan hua | Shaahi Shayari
moajaze ka dar khula aur ek asa raushan hua

Ghazal

Moajaze ka dar khula aur ek asa raushan hua

Aziz Nabeel

;

moajaze ka dar khula aur ek asa raushan hua
dur gahre paniyon mein rasta raushan hua

jaane kitne surajon ka faiz hasil hai use
is mukammal raushni se jo mila raushan hua

aankh walon ne chura li raushni sari to phir
ek andhe ki hatheli par diya raushan hua

ek wahshat daera-dar-daera phirti rahi
ek sahra silsila-dar-silsila raushan hua

mustaqil ek be-yaqini, ek musalsal intizar
phir achanak ek chehra ja-ba-ja raushan hua

aaj phir jalne lage bite hue kuchh KHas pal
aaj phir ek yaad ka aatish-kada raushan hua

jaane kis aalam mein likkhi ye ghazal tum ne 'nabil'
KHamushi bujhne lagi, shahr-e-sada raushan hua