mo'tabar se rishton ka saeban rahne do
mehrban duaon mein KHandan rahne do
muzmahil se baam-o-dar KHasta-haal diwaren
bap ki nishani hai wo makan rahne do
phailte hue shahro apni wahshaten roko
mere ghar ke aangan par aasman rahne do
aane wali naslen KHud hal talash kar lengi
aaj ke masail ko KHush-guman rahne do
uljhe uljhe resham ki Dor se bandhe rishte
har ghaDi mohabbat ka imtihan rahne do
kya bahut zaruri hai sari baat kah Dalen
jugnuon se kuchh lamhe darmiyan rahne do
Ghazal
Motabar se rishton ka saeban rahne do
Azra Naqvi