mizhgan wo jhapakta hai ab tir hai aur main hun
sar panw se chhidne ki taswir hai aur main hun
kahta hai wo kal tere purze main uDaunga
ab subh ko qatil ki shamshir hai aur main hun
be-jurm-o-KHata jis ka KHun howe rawa yaro
us KHubi-e-qismat ka naKHchir hai aur main hun
hai qatl ki dhun us ko aur meri nazar haq par
tadbir hai aur wo hai taqdir hai aur main hun
dil TuTa 'nazir' ab to do-chaar baras ro kar
is qasr-e-shikasta ki tamir hai aur main hun
Ghazal
Mizhgan wo jhapakta hai ab tir hai aur main hun
Nazeer Akbarabadi