mizhgan hain ghazab abru-e-KHam-dar ke aage
ye tir baras paDte hain talwar ke aage
KHair us mein hai waiz ki kabhi mai ki mazammat
karna na kisi rind-e-KHush-atwar ke aage
kahna meri baalin pe ki aasar bure hain
karta hai ye baaten koi bimar ke aage
shikwe the bahut un se shikayat thi bahut kuchh
sab bhul gae wasl ki shab pyar ke aage
KHalwat mein jo puchho to kahun dil ki haqiqat
mujh se na mera haal suno chaar ke aage
aaina abhi dekh ke KHud-bin to wo ho len
KHud aaenge phir talib-e-didar ke aage
qarun ka KHazana ho ki hatim ki saKHawat
sab kuchh hai magar kuchh nahin mai-KHwar ke aage
kya mujh ko Daraengi teri tez nigahen
ye aankh jhapakti nahin talwar ke aage
diwanon mein diwane 'hafiz' aap hain warna
hushiyar se hushiyar hain hushiyar ke aage
Ghazal
Mizhgan hain ghazab abru-e-KHam-dar ke aage
Hafeez Jaunpuri