mizhgan-e-tar hun ya rag-e-tak-e-burida hun
jo kuchh ki hun so hun gharaz aafat-rasida hun
khinche hai dur aap ko meri farotani
uftada hun pa saya-e-qadd-e-kashida hun
har sham misl-e-sham hun main tira-rozgar
har subh misl-e-subh gareban-darida hun
karti hai bu-e-gul tu mere sath iKHtilat
par aah main to mauj-e-nasim-e-dazida hun
tu chahti hai to tapish-e-dil ki baad-e-marg
kunj-e-mazar mein bhi na main aarmida hun
ai 'dard' ja chuka hai mera kaam zabt se
main gham-zada to qatra-e-ashk-e-chakida hun
Ghazal
Mizhgan-e-tar hun ya rag-e-tak-e-burida hun
Khwaja Meer u0027Dardu0027

