mizaj-o-martaba-e-chashm-e-nam ko pahchane
jo tujh ko dekh ke aae wo hum ko pahchane
mila hai dard hamein dard-ashna ki tarah
bhala hua ki KHulus-e-karam ko pahchane
hazar kos nigahon se dil ki manzil tak
koi fareb se dekhe to hum ko pahchane
ye KHud-fareb ujale ye hath hath diye
diye bujhao ki insan gham ko pahchane
bahut dinon to hawaon ka hum ne ruKH dekha
baDe dinon mein mata-e-qalam ko pahchane
Ghazal
Mizaj-o-martaba-e-chashm-e-nam ko pahchane
Ada Jafri