mizaj hum se ziyaada juda na tha us ka
jab apne taur yahi the to kya gila us ka
wo apne zoam mein tha be-KHabar raha mujh se
use guman bhi nahin main nahin raha us ka
wo barq-rau tha magar wo gaya kahan jaane
ab intizar karenge shikasta-pa us ka
chalo ye sail-e-bala-KHez hi bane apna
safina us ka KHuda us ka naKHuda us ka
ye ahl-e-dard bhi kis ki duhai dete hain
wo chup bhi ho to zamana hai ham-nawa us ka
hamin ne tark-e-talluq mein pahl ki ki 'faraaz'
wo chahta tha magar hausla na tha us ka
Ghazal
Mizaj humse ziyaada juda na tha us ka
Ahmad Faraz