mizaj-e-sher ko har daur mein raha mahbub
khanakta lahja sulagta hua naya uslub
talash aur tajassus ke bawajud hamein
wo chiz mil na saki jo hai waqt ko matlub
koi bhi aankh wahan tak pahunch nahin sakti
chhupa ke rakkhe hain tu ne jahan mere maktub
abhi to aas ke aangan mein kuchh ujala hai
salone chand judai ke baadalon mein na Dub
jo log kahte rahe hain KHuda mohabbat hai
KHud un ke hathon hi masumiyat hui maslub
'quli'-qutub nahin 'zahid'-kamal hun ai dost
main tere nam se kis shahr ko karun mansub
Ghazal
Mizaj-e-sher ko har daur mein raha mahbub
Zahid Kamal