اردو हिंदी
Mizaj-e-naghma-o-sher-o-sharab paida kar | Shaahi Shayari
mizaj-e-naghma-o-sher-o-sharab paida kar

Ghazal

Mizaj-e-naghma-o-sher-o-sharab paida kar

Raees Niyazi

;

mizaj-e-naghma-o-sher-o-sharab paida kar
hayat-e-ishq mein kuchh aab-o-tab paida kar

nazar ko KHirgi-e-shauq be-panah mile
har ek zarre se wo aaftab paida kar

shikast-e-KHwab ke ba-wasf band hain aankhen
phir ek bar tamasha-e-KHwab paida kar

ye be-niyazi-e-tazin-e-aina kab tak
kabhi kabhi to KHud apna jawab paida kar

har ek zarra hai mamura-e-jamal-e-habib
dil-e-hazin nigah-e-kaamyab paida kar

dil-o-nigah ko dhoke bhi ras aae hain
wufur-e-tishna-labi mein sarab paida kar

na kar shikayat-e-dauran na ban harif-e-zaman
musibaton ka koi sadd-e-bab paida kar

pahunch buland-maqamat-e-sher-o-naghma tak
adab mein ek dil-awez bab paida kar

gharaz to ye hai tera markaz-e-nigah rahun
sukun-e-dil na sahi iztirab paida kar

'rais' tujh ko to marne ki bhi nahin fursat
kaha tha kis ne ki aise azab paida kar