mizaj-e-gardish-e-dauran wahi samajhte hain
jo rasm-o-rah-e-gham-e-ashiqi samajhte hain
wo kaun log the ras aai jin ko ghurbat bhi
hamein to ahl-e-watan ajnabi samajhte hain
shikast-e-dil ka ye ek lazmi natija hai
huzur aap jise sadgi samajhte hain
baDi latif hai ye lazzat-e-talab lekin
kuchh is ko tere gunahgar hi samajhte hain
chhupao hum se na 'shahin' raaz-e-dil apna
ki hum zaban nigah-e-shauq ki samajhte hain
Ghazal
Mizaj-e-gardish-e-dauran wahi samajhte hain
Shaheen Gazipuri