mizaj-e-gham samajhta kyun nahin hai
mera idrak mujh sa kyun nahin hai
garajta hai barasta kyun nahin hai
yahan baadal bhi sachcha kyun nahin hai
kahan tak aainon ko hum badalte
hamara kuchh bhi achchha kyun nahin hai
nahin sunta khari ek baat koi
khara sikka bhi chalta kyun nahin hai
safar jari hai aur main kis se puchhun
koi rasta bhi sidha kyun nahin hai
tajjub hai yahan us shahr mein ab
kisi kandhe pe chehra kyun nahin hai
wo sagar hai agar tu kyun hai pyasa
wo gagar hai to bharta kyun nahin hai
bahut ashjar hain in raston mein
mere sar phir bhi saya kyun nahin hai
burida-par nahin koi qafas mein
parinda phir bhi uDta kyun nahin hai
agarche dastan meri hai phir bhi
koi kirdar mujh sa kyun nahin hai
baha deta hai kyun aansu mein 'talib'
ghazal ke sher kahta kyun nahin hai
Ghazal
Mizaj-e-gham samajhta kyun nahin hai
Murlidhar Sharma Talib